ajab insan hun KHush-fahmiyon ke ghar mein rahta hun
ajab insān huuñ ḳhush-fahmiyoñ ke ghar meñ rahtā huuñ
maiñ jis manzar meñ huuñ gum us ke pas-manzar meñ rahtā huuñ
jo maiñ zāhir meñ huuñ ye to sarāb-e-zāt hai yaaro
maiñ apne zehn ke but-ḳhāna-e-āzar meñ rahtā huuñ
jo mujh se merī hastī le gayā thā ek saa.at meñ
baḌī muddat se maiñ us shaḳhs ke paikar meñ rahtā huuñ
koī mānūs chaap aa.e surāġh-e-āgahī le kar
maiñ apnī ḳhvāhishoñ ke ḳhāna-e-be-dar meñ rahtā huuñ
alāmat fikr-o-dānish kī jahāñ patthar hī patthar hoñ
mirī himmat ki us ahd-e-sitam-parvar meñ rahtā huuñ
maiñ kyā huuñ kaun huuñ maqsad mirī taḳhlīq kā kyā hai
na jaane kitnī sadiyoñ se isī chakkar meñ rahtā huuñ
ajab insan hun KHush-fahmiyon ke ghar mein rahta hun
main jis manzar mein hun gum us ke pas-manzar mein rahta hun
jo main zahir mein hun ye to sarab-e-zat hai yaro
main apne zehn ke but-KHana-e-azar mein rahta hun
jo mujh se meri hasti le gaya tha ek saat mein
baDi muddat se main us shaKHs ke paikar mein rahta hun
koi manus chap aae suragh-e-agahi le kar
main apni KHwahishon ke KHana-e-be-dar mein rahta hun
alamat fikr-o-danish ki jahan patthar hi patthar hon
meri himmat ki us ahd-e-sitam-parwar mein rahta hun
main kya hun kaun hun maqsad meri taKHliq ka kya hai
na jaane kitni sadiyon se isi chakkar mein rahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.