ajab katib hai insan mein farawani nahin bharta
ajab katib hai insan mein farawani nahin bharta
Saurabh Sharma Sadaf
MORE BYSaurabh Sharma Sadaf
ajab kātib hai insāñ meñ farāvānī nahīñ bhartā
daġhā-bāzī to bhartā hai vafādārī nahīñ bhartā
bharosa thā tabhī to de rahā thā saath terā maiñ
zarā bhī shak agar hotā to maiñ haamī nahīñ bhartā
bahut ḳhuddār honā bhī anā kā ek pahlū hai
ghaḌe kā muñh agar ulTā ho to paanī nahīñ bhartā
yaqīnan hī koī to hai lagāyā jis ne ye mela
khilaunā ḳhud-ba-ḳhud ḳhud meñ kabhī chābī nahīñ bhartā
ajab katib hai insan mein farawani nahin bharta
dagha-bazi to bharta hai wafadari nahin bharta
bharosa tha tabhi to de raha tha sath tera main
zara bhi shak agar hota to main hami nahin bharta
bahut KHuddar hona bhi ana ka ek pahlu hai
ghaDe ka munh agar ulTa ho to pani nahin bharta
yaqinan hi koi to hai lagaya jis ne ye mela
khilauna KHud-ba-KHud KHud mein kabhi chabi nahin bharta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.