ajab KHumar teri yaad ki sharab mein hai
ajab ḳhumār tirī yaad kī sharāb meñ hai
ki ye qarār bhī ab hadd-e-iztirāb meñ hai
bigaḌtī bantī hai shab bhar vo dīda-o-dil meñ
jo ek shakl dil-o-dīda-e-ḳharāb meñ hai
vo abr thā ki nikal hī nahīñ sakī thī vo kal
jo dhuup phailī huī aaj mere ḳhvāb meñ hai
bachā ke rakhtā hai har jam-o-ḳharch se mujh ko
vo ek dast-e-duā jo mire hisāb meñ hai
kise batā.eñ mohabbat hai jo hai pesh-e-nazar
kise dikhā.eñ jo vahshat abhī hijāb meñ hai
kise batā.iye vo baat jo huī bhī nahīñ
kise dikhā.iye vo lahr jo sarāb meñ hai
ajab KHumar teri yaad ki sharab mein hai
ki ye qarar bhi ab hadd-e-iztirab mein hai
bigaDti banti hai shab bhar wo dida-o-dil mein
jo ek shakl dil-o-dida-e-KHarab mein hai
wo abr tha ki nikal hi nahin saki thi wo kal
jo dhup phaili hui aaj mere KHwab mein hai
bacha ke rakhta hai har jam-o-KHarch se mujh ko
wo ek dast-e-dua jo mere hisab mein hai
kise bataen mohabbat hai jo hai pesh-e-nazar
kise dikhaen jo wahshat abhi hijab mein hai
kise bataiye wo baat jo hui bhi nahin
kise dikhaiye wo lahr jo sarab mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.