ajab manazir-e-dilkash safar ke dekhte hain
ajab manāzir-e-dilkash safar ke dekhte haiñ
shajar chamakte hue rahguzar ke dekhte haiñ
zamāna guzrā ki aaya thā zalzala lekin
mizāj vaise hī dīvār-o-dar ke dekhte haiñ
vo aa ga.e to dar-o-bām muskurāne lage
ye ḳhush-gavār se pahle bhī ghar ke dekhte haiñ
parinde vo jo alāmat haiñ amn kī un ko
ham aaj pinjroñ meñ be-bāl-o-par ke dekhte haiñ
munāfiqat kī ḳharāshoñ se chehre masḳh hue
janāb-e-'tāj' bhī ā.īna Dar ke dekhte haiñ
ajab manazir-e-dilkash safar ke dekhte hain
shajar chamakte hue rahguzar ke dekhte hain
zamana guzra ki aaya tha zalzala lekin
mizaj waise hi diwar-o-dar ke dekhte hain
wo aa gae to dar-o-baam muskurane lage
ye KHush-gawar se pahle bhi ghar ke dekhte hain
parinde wo jo alamat hain amn ki un ko
hum aaj pinjron mein be-baal-o-par ke dekhte hain
munafiqat ki KHarashon se chehre masKH hue
janab-e-'taj' bhi aaina Dar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.