ajab marhalon se guzara gaya main
ajab marhaloñ se guzārā gayā maiñ
phir is ḳhāk-dāñ par utārā gayā maiñ
zarūrat nahīñ thā maiñ din bhar kisī kī
jahāñ shaam aa.ī pukārā gayā maiñ
ḳhabar hī nahīñ thī safar hai kahāñ tak
jahāñ tak gayā vo sitāra gayā maiñ
mohabbat nahīñ maiñ tamāshā thā jaise
galī se tirī yuuñ guzārā gayā maiñ
maiñ darvesh thā aur na āshiq magar dil
tire sañg be-maut maarā gayā maiñ
mujhe to talab thī mohabbat kī 'ḳhāvar'
magar tohmatoñ se sañvārā gayā maiñ
ajab marhalon se guzara gaya main
phir is KHak-dan par utara gaya main
zarurat nahin tha main din bhar kisi ki
jahan sham aai pukara gaya main
KHabar hi nahin thi safar hai kahan tak
jahan tak gaya wo sitara gaya main
mohabbat nahin main tamasha tha jaise
gali se teri yun guzara gaya main
main darwesh tha aur na aashiq magar dil
tere sang be-maut mara gaya main
mujhe to talab thi mohabbat ki 'KHawar'
magar tohmaton se sanwara gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.