ajab maujudgi hai jo kami par mushtamil hai
ajab maujūdgī hai jo kamī par mushtamil hai
kisī kā shor merī ḳhāmushī par mushtamil hai
añdherī sub.h vīrāñ raat yā shām-e-fasurda
mirā har lamha un meñ se kisī par mushtamil hai
nahīñ mil paatī koī bhī hañsī merī hañsī meñ
ye vāhid rañj hai jo rañj hī par mushtamil hai
chamak uThtā hai ik bhūlā huā chehra achānak
na jaane tīrgī kis raushnī par mushtamil hai
sarāb-e-ḳhvāb dekhūñ yā uḌā.ūñ ḳhaak apnī
ye sahrā ik makāñ aur ik galī par mushtamil hai
varaq khulte hī kitnī titliyāñ uḌtī haiñ 'shāriq'
agarche baaġh ik sūkhī kalī par mushtamil hai
ajab maujudgi hai jo kami par mushtamil hai
kisi ka shor meri KHamushi par mushtamil hai
andheri subh viran raat ya sham-e-fasurda
mera har lamha un mein se kisi par mushtamil hai
nahin mil pati koi bhi hansi meri hansi mein
ye wahid ranj hai jo ranj hi par mushtamil hai
chamak uThta hai ek bhula hua chehra achanak
na jaane tirgi kis raushni par mushtamil hai
sarab-e-KHwab dekhun ya uDaun KHak apni
ye sahra ek makan aur ek gali par mushtamil hai
waraq khulte hi kitni titliyan uDti hain 'shaariq'
agarche bagh ek sukhi kali par mushtamil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.