ajab mushkil ki dil ka haal aisa ho gaya hai
ajab mushkil ki dil kā haal aisā ho gayā hai
sabhī ab pūchhte haiñ mujh se ye kyā ho gayā hai
maiñ ye samjhā ki ġham kā ab mudāvā ho gayā hai
kuredā zaḳhm to ye aur taaza ho gayā hai
kabhī fursat mile to ḳhud se maiñ bāteñ karūñgā
mujhe ḳhud se mile bhī to zamāna ho gayā hai
magar ab sochtā huuñ toḌ duuñ saare marāsim
magar dil bhī tire ġham se shanāsā ho gayā hai
mirī barbād hastī kā nazāra dekhne ko
vo aa.e aur ġham meñ phir izāfa ho gayā hai
isī dariyā meñ ab ḳhud ko Dubonā chāhtā huuñ
ki is dil kā talātum meñ kināre ho gayā hai
chalo bhī 'qalb' ab tum dūsrā dekho Thikānā
ki is bastī meñ apnā sab parāyā ho gayā hai
ajab mushkil ki dil ka haal aisa ho gaya hai
sabhi ab puchhte hain mujh se ye kya ho gaya hai
main ye samjha ki gham ka ab mudawa ho gaya hai
kureda zaKHm to ye aur taza ho gaya hai
kabhi fursat mile to KHud se main baaten karunga
mujhe KHud se mile bhi to zamana ho gaya hai
magar ab sochta hun toD dun sare marasim
magar dil bhi tere gham se shanasa ho gaya hai
meri barbaad hasti ka nazara dekhne ko
wo aae aur gham mein phir izafa ho gaya hai
isi dariya mein ab KHud ko Dubona chahta hun
ki is dil ka talatum mein kinare ho gaya hai
chalo bhi 'qalb' ab tum dusra dekho Thikana
ki is basti mein apna sab paraya ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.