ajab nahin hai mualij shifa se mar jaen
ajab nahīñ hai muālij shifā se mar jaa.eñ
marīz zahr samajh kar davā se mar jaa.eñ
ye soch kar hī hameñ ḳhud-kushī savāb lagī
jo kī hai maañ ne to phir bad-duā se mar jaa.eñ
ye ehtijāj samundar ke dam ko kaafī hai
kisī kināre pe do-chār pyāse mar jaa.eñ
fasādiyoñ ko maiñ is shart par rihā karūñgā
ki fāḳhta ke paroñ kī havā se mar jaa.eñ
tū apne lahje kī riqqat ko thoḌā kam kar de
faqīr log na terī sadā se mar jaa.eñ
uThā ke phirte haiñ ham aap sirf naam to leñ
qasam se aap to kaase kī kā se mar jaa.eñ
ajab nahin hai mualij shifa se mar jaen
mariz zahr samajh kar dawa se mar jaen
ye soch kar hi hamein KHud-kushi sawab lagi
jo ki hai man ne to phir bad-dua se mar jaen
ye ehtijaj samundar ke dam ko kafi hai
kisi kinare pe do-chaar pyase mar jaen
fasadiyon ko main is shart par riha karunga
ki faKHta ke paron ki hawa se mar jaen
tu apne lahje ki riqqat ko thoDa kam kar de
faqir log na teri sada se mar jaen
uTha ke phirte hain hum aap sirf nam to len
qasam se aap to kase ki ka se mar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.