ajab nahin hai tamanna-e-moatabar hona
ajab nahīñ hai tamannā-e-mo'atabar honā
har ik shajar kī zarūrat hai bār-var honā
mujhe yaqīn kī manzil se duur rakhtā hai
misāl-e-mauj-e-havā merā dar-ba-dar honā
koī kamī to hai baaqī jahān-e-hastī meñ
batā rahā hai ye miTTī kā chaak par honā
hazār-ḳhānoñ meñ taqsīm kar rahā hai mujhe
tumhārī yaad kā dil se idhar udhar honā
Thahar gayā thā shab-e-kam-nigāh meñ 'āsim'
hamāre ḳhuuñ se charāġhoñ kā mo'atabar honā
ajab nahin hai tamanna-e-mo'atabar hona
har ek shajar ki zarurat hai bar-war hona
mujhe yaqin ki manzil se dur rakhta hai
misal-e-mauj-e-hawa mera dar-ba-dar hona
koi kami to hai baqi jahan-e-hasti mein
bata raha hai ye miTTi ka chaak par hona
hazar-KHanon mein taqsim kar raha hai mujhe
tumhaari yaad ka dil se idhar udhar hona
Thahar gaya tha shab-e-kam-nigah mein 'asim'
hamare KHun se charaghon ka mo'atabar hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.