ajab nasib ki jab meri shohraten na rahin
ajab nasib ki jab meri shohraten na rahin
Hasnain Asghar Tabassum
MORE BYHasnain Asghar Tabassum
ajab nasīb ki jab merī shohrateñ na rahīñ
mire ġhanīm ko mujh se shikāyateñ na rahīñ
jise koī na paḌhe aaj vo kitāb huuñ maiñ
mire nisāb meñ pichhlī sadāqateñ na rahīñ
maiñ apne zehn ko chhoḌ aaya barf-zāroñ meñ
qalam uThāne kī ab mujh meñ himmateñ na rahīñ
guzartā vaqt batā.egā kaun muḳhlis hai
isī liye mujhe tum se nadāmateñ na rahīñ
ajiib shaḳhs huuñ manzil ko dekh kar 'hasnain'
taḌap uThā huuñ ki ab kyoñ masāfateñ na rahīñ
ajab nasib ki jab meri shohraten na rahin
mere ghanim ko mujh se shikayaten na rahin
jise koi na paDhe aaj wo kitab hun main
mere nisab mein pichhli sadaqaten na rahin
main apne zehn ko chhoD aaya barf-zaron mein
qalam uThane ki ab mujh mein himmaten na rahin
guzarta waqt bataega kaun muKHlis hai
isi liye mujhe tum se nadamaten na rahin
ajib shaKHs hun manzil ko dekh kar 'hasnain'
taDap uTha hun ki ab kyon masafaten na rahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.