ajab sahra badan par aab ka ibham rakkha hai
'ajab sahrā badan par aab kā ib.hām rakkhā hai
ye kis ne is samundar kā samundar naam rakkhā hai
vahī ik din shahādat degā merī be-gunāhī kī
vo jis ne qatl-e-gul kā mere sar ilzām rakkhā hai
maiñ tum se pūchhtā huuñ jhīl-Dal kī be-zabāñ maujo
tah-e-dāman chhupā kar tum ne kyā paiġhām rakkhā hai
kabhī bādal mere āñgan utartā pūchhtā maiñ bhī
kuhistāñ par barasnā kis ne terā kaam rakkhā hai
rahā hogā vo kitnā dil ġhanī dast-e-saḳhī jis ne
junūñ kī mumlikat kā ek patthar daam rakkhā hai
yahī nā phuul se bichhḌe to āvāra hoñ sahrā meñ
kahūñ kyā kis ne ḳhushbūoñ kā ye anjām rakhā hai
mujhe manzūr vo aqdār bhī rad sab kareñ jin ko
kisī ne soch kar 'manzūr' merā naam rakhā hai
'ajab sahra badan par aab ka ibham rakkha hai
ye kis ne is samundar ka samundar nam rakkha hai
wahi ek din shahadat dega meri be-gunahi ki
wo jis ne qatl-e-gul ka mere sar ilzam rakkha hai
main tum se puchhta hun jhil-Dal ki be-zaban maujo
tah-e-daman chhupa kar tum ne kya paigham rakkha hai
kabhi baadal mere aangan utarta puchhta main bhi
kuhistan par barasna kis ne tera kaam rakkha hai
raha hoga wo kitna dil ghani dast-e-saKHi jis ne
junun ki mumlikat ka ek patthar dam rakkha hai
yahi na phul se bichhDe to aawara hon sahra mein
kahun kya kis ne KHushbuon ka ye anjam rakha hai
mujhe manzur wo aqdar bhi rad sab karen jin ko
kisi ne soch kar 'manzur' mera nam rakha hai
- Book : Sher-e-Aasman (Pg. 67)
- Author : Maktaba aariz
- Publication : Maktaba aariz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.