ajab shai hai buDhapa aadmi bekar hota hai
ajab shai hai buḌhāpā aadmī bekār hotā hai
kisī sūrat uThā to baiThnā dushvār hotā hai
vo kyā jaane nasīm-e-sub.h-dam kī mushk-afshānī
bahā.im kī tarah jo din chaḌhe bedār hotā hai
ġhazal kahne meñ ai jān-e-ġhazal hotī hai dushvārī
nazar ke sāmne jab tū na jalva-bār hotā hai
agar ho tandurustī āsh-e-jau nā-e-muraġhġhan hai
tabī.at muzmahil ho gar to gul bhī ḳhaar hotā hai
bahar-sū justujū-e-marg meñ phirtā huuñ āvāra
sunā hai baad marne ke tirā dīdār hotā hai
'jalāl'-e-be-navā sar par ye kyā vaqt-e-ḳharāb aaya
qalam ko uñgliyoñ se thāmnā bhī baar hotā hai
ajab shai hai buDhapa aadmi bekar hota hai
kisi surat uTha to baiThna dushwar hota hai
wo kya jaane nasim-e-subh-dam ki mushk-afshani
bahaim ki tarah jo din chaDhe bedar hota hai
ghazal kahne mein ai jaan-e-ghazal hoti hai dushwari
nazar ke samne jab tu na jalwa-bar hota hai
agar ho tandurusti aash-e-jau na-e-muraghghan hai
tabiat muzmahil ho gar to gul bhi KHar hota hai
bahar-su justuju-e-marg mein phirta hun aawara
suna hai baad marne ke tera didar hota hai
'jalal'-e-be-nawa sar par ye kya waqt-e-KHarab aaya
qalam ko ungliyon se thamna bhi bar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.