ajab tamasha raha hai hamare hone ka
ajab tamāsha rahā hai hamāre hone kā
ki ḳhuub rone kā palkeñ nahīñ bhigone kā
mile haiñ dard faqat ye nahīñ hai kaafī hameñ
hunar bhī chāhiye alfāz meñ pirone kā
tumhāre paane pe koī ḳhushī huī to nahīñ
magar jo ranj huā hai tumhāre khone kā
tamām raat yahī sochnā ki so jaa.eñ
tamām raat magar niiñd se na sone kā
use na chhūnā jo 'aurat tumheñ nahīñ chāhe
zamīn bāñjh nahīñ ho to biij bone kā
ye sach hai mujh ko mohabbat thī us chuḌail se aur
nahīñ thā mujh pe asar us ke jaadū Tone kā
liyā hai 'umr-e-ravāñ se yahī sabaq ham ne
'doraib' bojh agar apnā ho to Dhone kā
ajab tamasha raha hai hamare hone ka
ki KHub rone ka palken nahin bhigone ka
mile hain dard faqat ye nahin hai kafi hamein
hunar bhi chahiye alfaz mein pirone ka
tumhaare pane pe koi KHushi hui to nahin
magar jo ranj hua hai tumhaare khone ka
tamam raat yahi sochna ki so jaen
tamam raat magar nind se na sone ka
use na chhuna jo 'aurat tumhein nahin chahe
zamin banjh nahin ho to bij bone ka
ye sach hai mujh ko mohabbat thi us chuDail se aur
nahin tha mujh pe asar us ke jadu Tone ka
liya hai 'umr-e-rawan se yahi sabaq hum ne
'doraib' bojh agar apna ho to Dhone ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.