ajab tarah ka shab-e-hijr inqalab raha
ajab tarah ka shab-e-hijr inqalab raha
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
ajab tarah kā shab-e-hijr inqalāb rahā
kabhī sukūn kabhī dil ko iztirāb rahā
javāb jin kā na thā un meñ lā-javāb rahā
kisī kā husn hazāroñ meñ intiḳhāb rahā
kiyā na ahl-e-ma.āsī kā sāmnā dam-e-hashr
ḳhudā ke fazl se kosoñ alag itaab rahā
umiid diid kī niklegī kis tarah dam-e-hashr
agar vahāñ bhī vo jalva tah-e-naqāb rahā
muhāl hogā zamāne ko ek dam bhī sukūn
agar yūñhī dil-e-muztar kā iztirāb rahā
maqām-e-rāhat-o-ārām go the dair-o-haram
kisī jagah na dil-e-ḳhānumāñ-ḳharāb rahā
shumār ho na sakā hashr meñ ye ḳhuub huā
hamārā nāma-e-a.amāl be-hisāb rahā
nigāh lutf-o-ināyat se āshnā na huī
kisī pe qahr kisī par tirā itaab rahā
savāl radd hue 'mas.ūd' sab muqaddar se
nahīñ nahīñ mirī har baat kā javāb rahā
ajab tarah ka shab-e-hijr inqalab raha
kabhi sukun kabhi dil ko iztirab raha
jawab jin ka na tha un mein la-jawab raha
kisi ka husn hazaron mein intiKHab raha
kiya na ahl-e-maasi ka samna dam-e-hashr
KHuda ke fazl se koson alag itab raha
umid did ki niklegi kis tarah dam-e-hashr
agar wahan bhi wo jalwa tah-e-naqab raha
muhaal hoga zamane ko ek dam bhi sukun
agar yunhi dil-e-muztar ka iztirab raha
maqam-e-rahat-o-aram go the dair-o-haram
kisi jagah na dil-e-KHanuman-KHarab raha
shumar ho na saka hashr mein ye KHub hua
hamara nama-e-amal be-hisab raha
nigah lutf-o-inayat se aashna na hui
kisi pe qahr kisi par tera itab raha
sawal radd hue 'masud' sab muqaddar se
nahin nahin meri har baat ka jawab raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.