ajab tarah ki masafaten hain muqaddaron mein
'ajab tarah kī masāfateñ haiñ muqaddaroñ meñ
na qurbatoñ meñ sukūn paayā na fāsloñ meñ
sunahrī jhīloñ meñ 'aks paḌte the parbatoñ ke
abhī farozāñ haiñ saare manzar basāratoñ meñ
use na fursat milegī daftar se dostoñ se
ham apne aañsū chhupā.e baiThe saheliyoñ meñ
ragoñ meñ paiham ravāñ hai ambar-fashāñ mohabbat
kisī ke bāloñ kā lams zinda hai uñgliyoñ meñ
do sā'atoñ meñ simaT ga.ī dāstāñ hamārī
phisal ga.ī hai jo ret baaqī thī muTThiyoñ meñ
na phuul jaise hasīñ farishtoñ ke par tarāsho
na zahr gholo abhī se kachchī samā'atoñ meñ
'ajab tarah ki masafaten hain muqaddaron mein
na qurbaton mein sukun paya na faslon mein
sunahri jhilon mein 'aks paDte the parbaton ke
abhi farozan hain sare manzar basaraton mein
use na fursat milegi daftar se doston se
hum apne aansu chhupae baiThe saheliyon mein
ragon mein paiham rawan hai ambar-fashan mohabbat
kisi ke baalon ka lams zinda hai ungliyon mein
do sa'aton mein simaT gai dastan hamari
phisal gai hai jo ret baqi thi muTThiyon mein
na phul jaise hasin farishton ke par tarasho
na zahr gholo abhi se kachchi sama'aton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.