ajab tarah se ana ka KHitta kaTaw par tha
ajab tarah se anā kā ḳhitta kaTāv par thā
rukā thā dariyā magar kinārā bahāv par thā
shikast meñ zar ke saath dīvār-o-dar chale the
juārī ab ke bhī jiit ḳhvāhish ke daav par thā
vahāñ vahāñ bād-e-tund ke bhī giroh pahuñche
jahāñ-jahāñ sarkashoñ kā lashkar paḌāv par thā
ye kis ke siine meñ dhuup neze gaḌo rahī thī
vo barf rātoñ meñ jism kis kā alaav par thā
tamām shahroñ ke vast nāmūs manDiyāñ thiiñ
anā kā me.aar sab ke nazdīk bhaav par thā
ajab tarah se ana ka KHitta kaTaw par tha
ruka tha dariya magar kinara bahaw par tha
shikast mein zar ke sath diwar-o-dar chale the
juari ab ke bhi jit KHwahish ke daw par tha
wahan wahan baad-e-tund ke bhi giroh pahunche
jahan-jahan sarkashon ka lashkar paDaw par tha
ye kis ke sine mein dhup neze gaDo rahi thi
wo barf raaton mein jism kis ka alaw par tha
tamam shahron ke wast namus manDiyan thin
ana ka mear sab ke nazdik bhaw par tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.