ajab tarah wo kahani se khelne laga hai
ajab tarah vo kahānī se khelne lagā hai
bajā.e aag ke paanī se khelne lagā hai
isī ko kahte haiñ ḳhatroñ se khelnā shāyad
vo bachpane meñ javānī se khelne lagā hai
lage haiñ chhup ke parinde tamāshā dekhne meñ
gulāb raat kī raanī se khelne lagā hai
ġhazab kā saudā hai din-rāt ek karte hue
hamārā sar bhī girānī se khelne lagā hai
ye dil ko shauq charāyā hai kyā jarāhat kā
har ek Tiis purānī se khelne lagā hai
ye kis ko aayā hai lafzoñ se khelne kā hunar
sukūt-e-sho.ala-bayānī se khelne lagā hai
kamāl chaal chalī us ne band āñkhoñ se
vo khel kitnī ravānī se khelne lagā hai
dhḌaknā bhuul na jaa.e ye dil mohabbat meñ
tumhāre ġham kī nishānī se khelne lagā hai
ajab tarah wo kahani se khelne laga hai
bajae aag ke pani se khelne laga hai
isi ko kahte hain KHatron se khelna shayad
wo bachpane mein jawani se khelne laga hai
lage hain chhup ke parinde tamasha dekhne mein
gulab raat ki rani se khelne laga hai
ghazab ka sauda hai din-raat ek karte hue
hamara sar bhi girani se khelne laga hai
ye dil ko shauq charaya hai kya jarahat ka
har ek Tis purani se khelne laga hai
ye kis ko aaya hai lafzon se khelne ka hunar
sukut-e-shoala-bayani se khelne laga hai
kamal chaal chali us ne band aankhon se
wo khel kitni rawani se khelne laga hai
dhDakna bhul na jae ye dil mohabbat mein
tumhaare gham ki nishani se khelne laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.