ajab tazād hai sachchā.iyoñ se aage bhī
mirā vajūd hai parchhā.iyoñ se aage bhī
kisī kā husn fareb-e-nashāt detā hai
nigār-e-vaqt kī añgḌā.iyoñ se aage bhī
chalā hai talḳh haqā.eq kā kārvāñ jaise
mire yaqīn kī bīnā.iyoñ se aage bhī
jahāñ vajūd bhī ḳhud ko sameT letā hai
vo ik maqām hai tanhā.iyoñ se aage bhī
na jaane kyoñ mujhe ehsās ye satātā hai
ki koī aur hai parchhā.iyoñ se aage bhī
koī safar meñ hai 'āsif' mire alāva bhī
mire vajūd kī sachchā.iyoñ se aage bhī
ajab tazad hai sachchaiyon se aage bhi
mera wajud hai parchhaiyon se aage bhi
kisi ka husn fareb-e-nashat deta hai
nigar-e-waqt ki angDaiyon se aage bhi
chala hai talKH haqaeq ka karwan jaise
mere yaqin ki binaiyon se aage bhi
jahan wajud bhi KHud ko sameT leta hai
wo ek maqam hai tanhaiyon se aage bhi
na jaane kyon mujhe ehsas ye satata hai
ki koi aur hai parchhaiyon se aage bhi
koi safar mein hai 'asif' mere alawa bhi
mere wajud ki sachchaiyon se aage bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.