ajab Thahraw tha jis mein masafat ho rahi thi
ajab Thahrāv thā jis meñ masāfat ho rahī thī
ravāna bhī nahīñ thā aur hijrat ho rahī thī
banāyā jā rahā thā canvas par zard sūraj
ubhārā jā rahā thā naqsh hairat ho rahī thī
kahīñ jaatā nahīñ thā maiñ kahīñ aatā nahīñ thā
yaqīñ aatā nahīñ thā aisī hālat ho rahī thī
mirā us ke binā to jī zarā lagtā nahīñ thā
udāsī lauT aa.ī thī masarrat ho rahī thī
charāġh ek ek kar ke raushnī karne lage the
mujhe in sab charāġhoñ se mohabbat ho rahī thī
nayā ik baaġh thā aur is ko kaaTā jā rahā thā
parindoñ ko abhī peḌoñ kī aadat ho rahī thī
bichhaḌ jaane kā kuchh kuchh ḳhauf bhī hone lagā thā
mujhe us ke ravayye par bhī hairat ho rahī thī
nahīñ thī zindagānī bhī vahāñ hasab-e-tamannā
mohabbat bhī vahāñ hasb-e-zarūrat ho rahī thī
ye aañsū to na the jo bah rahe the hijr-e-gul meñ
ye ḳhushbū thī jo āñkhoñ se rivāyat ho rahī thī
mujhe ḳhud meñ koī sahrā mayassar aa gayā thā
uḌaa.ī jā rahī thī ḳhaak vahshat ho rahī thī
mukammal bad-gumānī ho ga.ī thī us ko 'sayyad'
palaTne meñ mujhe bhī ab suhūlat ho rahī thī
ajab Thahraw tha jis mein masafat ho rahi thi
rawana bhi nahin tha aur hijrat ho rahi thi
banaya ja raha tha canwas par zard suraj
ubhaara ja raha tha naqsh hairat ho rahi thi
kahin jata nahin tha main kahin aata nahin tha
yaqin aata nahin tha aisi haalat ho rahi thi
mera us ke bina to ji zara lagta nahin tha
udasi lauT aai thi masarrat ho rahi thi
charagh ek ek kar ke raushni karne lage the
mujhe in sab charaghon se mohabbat ho rahi thi
naya ek bagh tha aur is ko kaTa ja raha tha
parindon ko abhi peDon ki aadat ho rahi thi
bichhaD jaane ka kuchh kuchh KHauf bhi hone laga tha
mujhe us ke rawayye par bhi hairat ho rahi thi
nahin thi zindagani bhi wahan hasab-e-tamanna
mohabbat bhi wahan hasb-e-zarurat ho rahi thi
ye aansu to na the jo bah rahe the hijr-e-gul mein
ye KHushbu thi jo aankhon se riwayat ho rahi thi
mujhe KHud mein koi sahra mayassar aa gaya tha
uDai ja rahi thi KHak wahshat ho rahi thi
mukammal bad-gumani ho gai thi us ko 'sayyad'
palaTne mein mujhe bhi ab suhulat ho rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.