ajab thin manzilen jin se guzar kar lai
ajab thiiñ manzileñ jin se guzār kar laa.ī
havā hī baam se mujh ko utaar kar laa.ī
mirī sarisht kī zid ne dikhāyā rang apnā
ḳhizāñ kī mauj ko mauj-e-bahār kar laa.ī
nigāh phāñd ga.ī bāġh-e-dil kā darvāza
samar bhī shāḳh-e-tavajjoh se paar kar laa.ī
kināre aa to gayā maiñ magar hayāt mirī
har ik salīb se mujh ko guzār kar laa.ī
ḳhayāl-e-ḳhushk ne sairāb honā chāhā to
ye aañkh jam.a ka.ī ābshār kar laa.ī
mah-o-nujūm ne koshish bahut kī rokne kī
falak se mujh ko mirī ḳhū utaar kar laa.ī
bikherte rahe ham aur havā kī zinda-dilī
jab aa.ī jam.a hamārā ġhubār kar laa.ī
maiñ jis ko chāhtā thā ye parinda vo to nahīñ
ye kis ko merī tamanna shikār kar laa.ī
harīs-e-sā.at-e-ḳhush-dīda thī so mere liye
gul-e-fasurda ko 'yāvar' sañvār kar laa.ī
ajab thin manzilen jin se guzar kar lai
hawa hi baam se mujh ko utar kar lai
meri sarisht ki zid ne dikhaya rang apna
KHizan ki mauj ko mauj-e-bahaar kar lai
nigah phand gai bagh-e-dil ka darwaza
samar bhi shaKH-e-tawajjoh se par kar lai
kinare aa to gaya main magar hayat meri
har ek salib se mujh ko guzar kar lai
KHayal-e-KHushk ne sairab hona chaha to
ye aankh jama kai aabshaar kar lai
mah-o-nujum ne koshish bahut ki rokne ki
falak se mujh ko meri KHu utar kar lai
bikherte rahe hum aur hawa ki zinda-dili
jab aai jama hamara ghubar kar lai
main jis ko chahta tha ye parinda wo to nahin
ye kis ko meri tamanna shikar kar lai
haris-e-saat-e-KHush-dida thi so mere liye
gul-e-fasurda ko 'yawar' sanwar kar lai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.