ajab tir-e-nigah mein kuchh asar hai
ajab tīr-e-nigah meñ kuchh asar hai
na bar meñ dil na siine meñ jigar hai
ma.āl-e-āshiqī kyā pūchhte ho
jigar ke paar har tīr-e-nazar hai
vo jaisī sub.h vaisī hī shab-e-hijr
ġhazab kī raat aafat kī sahar hai
qafas chhoḌā ajab sūrat se ham ne
na baazū hai na gardan hai na sar hai
tumheñ kyā ham pe jo guzrī so guzrī
hisāb ai jaañ hamārā hashr par hai
lagī lau sham.a-sāñ ik sho.ala-rū kī
balā se sar kaTe ab kis ko Dar hai
ġharaz mutlaq nahīñ mujh ko kisī se
'nasīm' apnī ḳhudā hī par nazar hai
ajab tir-e-nigah mein kuchh asar hai
na bar mein dil na sine mein jigar hai
maal-e-ashiqi kya puchhte ho
jigar ke par har tir-e-nazar hai
wo jaisi subh waisi hi shab-e-hijr
ghazab ki raat aafat ki sahar hai
qafas chhoDa ajab surat se hum ne
na bazu hai na gardan hai na sar hai
tumhein kya hum pe jo guzri so guzri
hisab ai jaan hamara hashr par hai
lagi lau shama-san ek shoala-ru ki
bala se sar kaTe ab kis ko Dar hai
gharaz mutlaq nahin mujh ko kisi se
'nasim' apni KHuda hi par nazar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.