ajab uljhan hai jo samjha nahin hun
ajab uljhan hai jo samjhā nahīñ huuñ
jahāñ hotā huuñ maiñ hotā nahīñ huuñ
hiqārat se mujhe kyuuñ dekhtā hai
batā kyā maiñ tire jaisā nahīñ huuñ
vo merī baat jab suntā nahīñ hai
jo mere dil meñ hai kahtā nahīñ huuñ
ta.alluq toḌtā huuñ dushmanoñ se
kabhī yāroñ se maiñ laḌtā nahīñ huuñ
jahāñ izzat nahīñ miltī hai mujh ko
vahāñ par maiñ kabhī jaatā nahīñ huuñ
ravānī meñ mujhe rahnā paḌegā
maiñ dariyā huuñ koī sahrā nahīñ huuñ
bhaḌaktā huuñ maiñ apnī lau se 'gauhar'
kisī kī aag se jaltā nahīñ huuñ
ajab uljhan hai jo samjha nahin hun
jahan hota hun main hota nahin hun
hiqarat se mujhe kyun dekhta hai
bata kya main tere jaisa nahin hun
wo meri baat jab sunta nahin hai
jo mere dil mein hai kahta nahin hun
talluq toDta hun dushmanon se
kabhi yaron se main laDta nahin hun
jahan izzat nahin milti hai mujh ko
wahan par main kabhi jata nahin hun
rawani mein mujhe rahna paDega
main dariya hun koi sahra nahin hun
bhaDakta hun main apni lau se 'gauhar'
kisi ki aag se jalta nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.