ajal bhi sath thi har lamha zindagi ki tarah
ajal bhī saath thī har lamha zindagī kī tarah
tumhāre ahd meñ jiinā thā ḳhud-kushī kī tarah
añdherī raat meñ jangal kī ḳhāmushī kī tarah
ye kaun paas se guzrā hai aap hī kī tarah
chaman ko saikḌoñ pairāhan-e-bahār mile
magar khilā na koī zaḳhm-e-dil kalī kī tarah
na e'timād-e-karam hai na aitabār-e-vafā
hai dostī bhī zamāne kī dushmanī kī tarah
kuchh aise log bhī haiñ jin ko is zamāne meñ
karāheñ hotī haiñ mahsūs naġhmagī kī tarah
na ham-ḳhayāl hai koī na āshnā merā
maiñ apne shahr meñ phirtā huuñ ajnabī kī tarah
sunā.ūñ kis ko ġham-e-dil kī dāstāñ 'azmat'
milā na dushman-e-jāñ koī aadmī kī tarah
ajal bhi sath thi har lamha zindagi ki tarah
tumhaare ahd mein jina tha KHud-kushi ki tarah
andheri raat mein jangal ki KHamushi ki tarah
ye kaun pas se guzra hai aap hi ki tarah
chaman ko saikDon pairahan-e-bahaar mile
magar khila na koi zaKHm-e-dil kali ki tarah
na e'timad-e-karam hai na aitabar-e-wafa
hai dosti bhi zamane ki dushmani ki tarah
kuchh aise log bhi hain jin ko is zamane mein
karahen hoti hain mahsus naghmagi ki tarah
na ham-KHayal hai koi na aashna mera
main apne shahr mein phirta hun ajnabi ki tarah
sunaun kis ko gham-e-dil ki dastan 'azmat'
mila na dushman-e-jaan koi aadmi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.