ajal ne luT liya aa ke karwan-e-hayat
ajal ne luuT liyā aa ke kārvān-e-hayāt
sunā rahā huuñ zamāne ko dāstān-e-hayāt
hazāroñ karvaTeñ badlīñ zamāne ne lekin
uThe na ḳhvāb taġhāful se ḳhuftagān-e-hayāt
rahā na piirī meñ jab kuchh bhī zindagī kā maza
sahar ke vaqt chale uTh ke mehmān-e-hayāt
rah-e-adam kī vo dushvāriyāñ ma.āz-allāh
ki mar ke pahuñche haiñ manzil pe rahravān-e-hayāt
bahār-e-jalva-gah-e-yār terā kyā kahnā
adam se aa.e haiñ hastī meñ tālibān-e-hayāt
yahī bulandī-o-pastī hai bas zamāne kī
hai ik zamīn-e-hayāt ek āsmān-e-hayāt
kisī tarah bhī talāfī-e-zīst ho na sakī
qazā ke sar pe rahā ḳhūn-e-kushtagān-e-hayāt
khilā na ġhuncha-e-dil bāġh-e-dahr meñ 'afqar'
ḳhizāñ-nasīb rahā apnā gulistān-e-hayāt
ajal ne luT liya aa ke karwan-e-hayat
suna raha hun zamane ko dastan-e-hayat
hazaron karwaTen badlin zamane ne lekin
uThe na KHwab taghaful se KHuftagan-e-hayat
raha na piri mein jab kuchh bhi zindagi ka maza
sahar ke waqt chale uTh ke mehman-e-hayat
rah-e-adam ki wo dushwariyan maaz-allah
ki mar ke pahunche hain manzil pe rahrawan-e-hayat
bahaar-e-jalwa-gah-e-yar tera kya kahna
adam se aae hain hasti mein taliban-e-hayat
yahi bulandi-o-pasti hai bas zamane ki
hai ek zamin-e-hayat ek aasman-e-hayat
kisi tarah bhi talafi-e-zist ho na saki
qaza ke sar pe raha KHun-e-kushtagan-e-hayat
khila na ghuncha-e-dil bagh-e-dahr mein 'afqar'
KHizan-nasib raha apna gulistan-e-hayat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.