ajib baat hai bimar hai nahin bhi hai
ajiib baat hai bīmār hai nahīñ bhī hai
ye dil tumhārā talabgār hai nahīñ bhī hai
haiñ mumkināt nihāñ is adā meñ shoḳhī meñ
laboñ pe un ke jo inkār hai nahīñ bhī hai
hai kaisā azm-e-safar kaisī chāhat-e-manzil
safar ko kārvāñ tayyār hai nahīñ bhī hai
ye apnī apnī samajh hai ye apnā apnā shu.ūr
safar hayāt kā dushvār hai nahīñ bhī hai
ye vaqt vaqt pe hai munhasir jo sach pūchheñ
'obaid' aap kā ḳhuddār hai nahīñ bhī hai
ajib baat hai bimar hai nahin bhi hai
ye dil tumhaara talabgar hai nahin bhi hai
hain mumkinat nihan is ada mein shoKHi mein
labon pe un ke jo inkar hai nahin bhi hai
hai kaisa azm-e-safar kaisi chahat-e-manzil
safar ko karwan tayyar hai nahin bhi hai
ye apni apni samajh hai ye apna apna shuur
safar hayat ka dushwar hai nahin bhi hai
ye waqt waqt pe hai munhasir jo sach puchhen
'obaid' aap ka KHuddar hai nahin bhi hai
- Book : سخن دریا (Pg. 74)
- Author : عبید الرحمن
- Publication : عرشیہ پبلی کیشن
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.