ajib chaal koi tir chal gae apne
'ajīb chaal koī tiir chal ga.e apne
'adū ko us ke lage haiñ mujhe mire apne
koī samajhtā nahīñ hai mire masā.il ko
batā rahe haiñ sabhī mujh ko tajrabe apne
tū kar zarūr judā.ī ko ‘aks-band magar
maiñ pahle yaad to kar luuñ mukālme apne
maiñ tā-hayāt mohabbat kā ab nahīñ qaa.il
har ek 'umr ke hote haiñ mas.ale apne
koī mujhe na batā.e vo ab nahīñ merā
mujhe 'azīz bahut haiñ muġhālate apne
kise hai thoḌī mohabbat kise ziyāda hai
tumheñ bhī yaad haiñ kyā vo muqāble apne
maiñ ḳhud sikhātā huuñ auroñ ko gur mohabbat ke
tum apne paas rakho dost mashvare apne
kabhī kabhī to ye lagtā hai koī dariyā huuñ
maiñ jis tarah se badaltā huuñ rāste apne
vo jin ke dukh kā mudāvā koī nahīñ hotā
vo sab meñ bāñTte rahte haiñ ‘ārize apne
maiñ pīchhe chhoḌ chukā huuñ 'adam kī had ko bhī
yahāñ se aage haiñ āsān marhale apne
jo de rahe haiñ mujhe aane vaale kal kī ḳhabar
zarā banā ke dikhā.eñ to zā.iche apne
'ajib chaal koi tir chal gae apne
'adu ko us ke lage hain mujhe mere apne
koi samajhta nahin hai mere masail ko
bata rahe hain sabhi mujh ko tajrabe apne
tu kar zarur judai ko ‘aks-band magar
main pahle yaad to kar lun mukalme apne
main ta-hayat mohabbat ka ab nahin qail
har ek 'umr ke hote hain masale apne
koi mujhe na batae wo ab nahin mera
mujhe 'aziz bahut hain mughaalate apne
kise hai thoDi mohabbat kise ziyaada hai
tumhein bhi yaad hain kya wo muqable apne
main KHud sikhata hun auron ko gur mohabbat ke
tum apne pas rakho dost mashware apne
kabhi kabhi to ye lagta hai koi dariya hun
main jis tarah se badalta hun raste apne
wo jin ke dukh ka mudawa koi nahin hota
wo sab mein banTte rahte hain ‘arize apne
main pichhe chhoD chuka hun 'adam ki had ko bhi
yahan se aage hain aasan marhale apne
jo de rahe hain mujhe aane wale kal ki KHabar
zara bana ke dikhaen to zaiche apne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.