ajib chiz hai dil aadmi ke sine mein
ajiib chiiz hai dil aadmī ke siine meñ
hai kā.enāt kā har raaz is dafīne meñ
na uljhaneñ hoñ na dushvāriyāñ hoñ jiine meñ
abhī hai zindagī itnī kahāñ qarīne meñ
talāsh shart sabhī kuchh tumhārī zaat meñ hai
mileñge gauhar-e-nāyāb is ḳhazīne meñ
ḳhirad kā zābta-e-zīst kuchh na kaam aaya
junūñ se aa to ga.ī zindagī qarīne meñ
qafas meñ rah ke bhī ġham thā qafas meñ chhup ke bhī ġham
baḌī ajiib sī dushvāriyāñ haiñ jiine meñ
yahī to shikva junūñ ko rahā ki ahl-e-ḳhirad
lahū kā rang nahīñ dekhte pasīne meñ
hai ziist tang magar maut se gurezāñ haiñ
ḳhudā hī jaane hai kitnī miThās jiine meñ
ajib chiz hai dil aadmi ke sine mein
hai kaenat ka har raaz is dafine mein
na uljhanen hon na dushwariyan hon jine mein
abhi hai zindagi itni kahan qarine mein
talash shart sabhi kuchh tumhaari zat mein hai
milenge gauhar-e-nayab is KHazine mein
KHirad ka zabta-e-zist kuchh na kaam aaya
junun se aa to gai zindagi qarine mein
qafas mein rah ke bhi gham tha qafas mein chhup ke bhi gham
baDi ajib si dushwariyan hain jine mein
yahi to shikwa junun ko raha ki ahl-e-KHirad
lahu ka rang nahin dekhte pasine mein
hai zist tang magar maut se gurezan hain
KHuda hi jaane hai kitni miThas jine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.