Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajib dasht hai naqsh-e-pas-e-safar bhi nahin

Lutf-ur-rahman

ajib dasht hai naqsh-e-pas-e-safar bhi nahin

Lutf-ur-rahman

MORE BYLutf-ur-rahman

    'ajīb dasht hai naqsh-e-pas-e-safar bhī nahīñ

    yahāñ se aage kahīñ koī rah-guzar bhī nahīñ

    bajāo tabl ki parcham lahū lahrā.ūñ

    ḳhud apnī zad pe huuñ aur sūrat-e-mafar bhī nahīñ

    yahī ki kartā rahūñ ḳhud ko maiñ musalsal radd

    mire bachāv ab sūrat-e-digar bhī nahīñ

    maiñ is hujūm se kaT kar chalā to aa.uuñ magar

    qarīb-o-dūr koī raah muḳhtasar bhī nahīñ

    dayār-e-sang ko de do pata mire ghar

    tamām shahr meñ ab koī shīshagar bhī nahīñ

    'ajib dasht hai naqsh-e-pas-e-safar bhi nahin

    yahan se aage kahin koi rah-guzar bhi nahin

    bajao tabl ki parcham lahu ka lahraun

    KHud apni zad pe hun aur surat-e-mafar bhi nahin

    yahi ki karta rahun KHud ko main musalsal radd

    mere bachaw ki ab surat-e-digar bhi nahin

    main is hujum se kaT kar chala to aaun magar

    qarib-o-dur koi rah muKHtasar bhi nahin

    dayar-e-sang ko de do pata mere ghar ka

    tamam shahr mein ab koi shishagar bhi nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now