ajib dhun hai sar apna har waqt dhun raha hun
'ajīb dhun hai sar apnā har vaqt dhun rahā huuñ
maiñ niiñd meñ bhī kisī kī āvāz sun rahā huuñ
vujūd jaltā tavā hai koī maiñ us tave par
'adam kī jau huuñ so jal rahā huuñ so bhun rahā huuñ
junūñ ne dīvāngī meñ khīñchā thā tār-e-vahshat
badan ke daane bikhar ga.e haiñ so chun rahā huuñ
vo ek saffāk dil kī poshāk chaak kartā
maiñ ek dhuniyā kapās yādoñ kī dhun rahā huuñ
bas ik havas ki hunar kī resham Thikāne lag jaa.e
so ek chādar tire ḳhayāloñ kī bun rahā huuñ
'ajib dhun hai sar apna har waqt dhun raha hun
main nind mein bhi kisi ki aawaz sun raha hun
wujud jalta tawa hai koi main us tawe par
'adam ki jau hun so jal raha hun so bhun raha hun
junun ne diwangi mein khincha tha tar-e-wahshat
badan ke dane bikhar gae hain so chun raha hun
wo ek saffak dil ki poshak chaak karta
main ek dhuniya kapas yaadon ki dhun raha hun
bas ek hawas ki hunar ki resham Thikane lag jae
so ek chadar tere KHayalon ki bun raha hun
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 86)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.