ajib dil mein mere aaj iztirab sa hai!
ajiib dil meñ mire aaj iztirāb sā hai!
khulī hai aañkh samundar bhī ek ḳhvāb sā hai!
Thahar Thahar ke bajātā hai koī sāzīna
maiñ kyā karūñ mire siine meñ ik rubāb sā hai!
bujhegī pyaas mirī zahr-e-āgahī se kabhī
mire dayār meñ us kā mazā sharāb sā hai!
maiñ kyuuñ kisī se sar-e-rāh rahbarī māñgūñ?
na.ī hai manzil-e-ġham ik yahī javāb sā hai!
chamaktī ret se rah rah ke uTh rahī navā
koī mazār thā pahle ki ab sarāb sā hai!
hadaf banā ke na rusvā karo zamāne meñ
ġharīb-e-shahr huuñ rutba mirā janāb sā hai!
maiñ chhoḌ aayā huuñ muddat huī ġharībī ko
ye merā saaya baḌā ḳhānumāñ-ḳharāb sā hai!
na jaane kaise maiñ sail-e-ravāñ se bach niklā?
ye zindagī kā tamāshā to ik habāb sā hai!
maiñ kaise ḳhud ko samajh pā.ūñ be-kasī ye hai?
ki ā.īna nahīñ aksoñ kā ik naqāb sā hai!
nazar milā ke maiñ us se guzar gayā 'bāqar'
na jaane mujh se ḳhafā ye ki lā-javāb sā hai!
ajib dil mein mere aaj iztirab sa hai!
khuli hai aankh samundar bhi ek KHwab sa hai!
Thahar Thahar ke bajata hai koi sazina
main kya karun mere sine mein ek rubab sa hai!
bujhegi pyas meri zahr-e-agahi se kabhi
mere dayar mein us ka maza sharab sa hai!
main kyun kisi se sar-e-rah rahbari mangun?
nai hai manzil-e-gham ek yahi jawab sa hai!
chamakti ret se rah rah ke uTh rahi nawa
koi mazar tha pahle ki ab sarab sa hai!
hadaf bana ke na ruswa karo zamane mein
gharib-e-shahr hun rutba mera janab sa hai!
main chhoD aaya hun muddat hui gharibi ko
ye mera saya baDa KHanuman-KHarab sa hai!
na jaane kaise main sail-e-rawan se bach nikla?
ye zindagi ka tamasha to ek habab sa hai!
main kaise KHud ko samajh paun be-kasi ye hai?
ki aaina nahin akson ka ek naqab sa hai!
nazar mila ke main us se guzar gaya 'baqar'
na jaane mujh se KHafa ye ki la-jawab sa hai!
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 299)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.