ajib dukh hai ye kis ranj mein paDa hun abhi
ajiib dukh hai ye kis ranj meñ paḌā huuñ abhī
bichhaḌ ke us se shash-o-panj meñ paḌā huuñ abhī
vo ik gudāz bharā lams mujh se duur huā
so us ke dast-e-apāhanj meñ paḌā huuñ abhī
koī nikāl ke mujh ko tarāsh saktā hai
maiñ ek sang kisī ganj meñ paḌā huuñ abhī
biThā ke saath koī ghuḌ-savār le jaa.e
maiñ ik piyāda huuñ shatranj meñ paḌā huuñ abhī
kisī bhī sūd-o-ziyāñ kā hisāb ho na sakā
ajab tarah ke ḳhafī banj meñ paḌā huuñ abhī
ajib dukh hai ye kis ranj mein paDa hun abhi
bichhaD ke us se shash-o-panj mein paDa hun abhi
wo ek gudaz bhara lams mujh se dur hua
so us ke dast-e-apahanj mein paDa hun abhi
koi nikal ke mujh ko tarash sakta hai
main ek sang kisi ganj mein paDa hun abhi
biTha ke sath koi ghuD-sawar le jae
main ek piyaada hun shatranj mein paDa hun abhi
kisi bhi sud-o-ziyan ka hisab ho na saka
ajab tarah ke KHafi banj mein paDa hun abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.