ajib insan hai mere sare purane KHat ko jala raha hai
ajib insan hai mere sare purane KHat ko jala raha hai
Adnan Akhtar Azmi
MORE BYAdnan Akhtar Azmi
'ajīb insāñ hai mere saare purāne ḳhat ko jalā rahā hai
vafā mohabbat fuzūl shai hai ye baat sab ko batā rahā hai
tazād us kā mirā hai qaa.em añdherā aur raushnī ke bā'is
idhar diyā maiñ jalā rahā huuñ udhar diyā vo bujhā rahā hai
taḌap rahā huuñ kisī kī ḳhātir ye hālat-e-dil se sab 'ayāñ hai
kisī kī āñkheñ kisī kī palkeñ kisī kā chehra satā rahā hai
ḳhayāl-e-bāda-kashī meñ koī chalā to aaya thā mai-kade meñ
magar ye ab kyā huā ki āḳhir yahāñ bhī dāman bachā rahā hai
dar-asl mash.hūr vo huā hai to is meñ merā bhī hai ta'āruf
mirī hī likkhī tamām ġhazleñ mushā’iron meñ sunā rahā hai
vo mere dil kā sukūn Thahrā vo mere dil kā qarār Thahrā
jo duur se dekhtā huuñ us ko to lagtā hai muskurā rahā hai
'ajib insan hai mere sare purane KHat ko jala raha hai
wafa mohabbat fuzul shai hai ye baat sab ko bata raha hai
tazad us ka mera hai qaem andhera aur raushni ke ba'is
idhar diya main jala raha hun udhar diya wo bujha raha hai
taDap raha hun kisi ki KHatir ye haalat-e-dil se sab 'ayan hai
kisi ki aankhen kisi ki palken kisi ka chehra sata raha hai
KHayal-e-baada-kashi mein koi chala to aaya tha mai-kade mein
magar ye ab kya hua ki aaKHir yahan bhi daman bacha raha hai
dar-asl mashhur wo hua hai to is mein mera bhi hai ta'aruf
meri hi likkhi tamam ghazlen musha’iron mein suna raha hai
wo mere dil ka sukun Thahra wo mere dil ka qarar Thahra
jo dur se dekhta hun us ko to lagta hai muskura raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.