ajib ishq hua hai mujhe guman ke sath
ajiib ishq huā hai mujhe gumān ke saath
tamām shahr ko chhānā hai is thakān ke saath
munāfiqoñ ne mire haath bāñdh rakkhe haiñ
so mujh ko vaar bhī karnā hai ab zabān ke saath
ab achchhe log bhī nāyāb hote jaate haiñ
guzar-basar hai mirī ab to apnī jaan ke saath
maiñ jin ke vāste rasta banānā chāhtā huuñ
shumār karte haiñ mujh ko bhī vo chaTān ke saath
har ek dost saf-e-dushmanāñ meñ shāmil hai
jabhī to bantī nahīñ merī is jahān ke saath
muḳhālifīn se dab kar nahīñ rahūñgā maiñ
maiñ sar uThā ke chalūñgā ajiib shaan ke saath
mirī tabāhī kā 'shahzād' sochne vaale
lagā.e baiThe haiñ ḳheme mire makān ke saath
ajib ishq hua hai mujhe guman ke sath
tamam shahr ko chhana hai is thakan ke sath
munafiqon ne mere hath bandh rakkhe hain
so mujh ko war bhi karna hai ab zaban ke sath
ab achchhe log bhi nayab hote jate hain
guzar-basar hai meri ab to apni jaan ke sath
main jin ke waste rasta banana chahta hun
shumar karte hain mujh ko bhi wo chaTan ke sath
har ek dost saf-e-dushmanan mein shamil hai
jabhi to banti nahin meri is jahan ke sath
muKHalifin se dab kar nahin rahunga main
main sar uTha ke chalunga ajib shan ke sath
meri tabahi ka 'shahzad' sochne wale
lagae baiThe hain KHeme mere makan ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.