ajib KHamushi hai ghul machati rahti hai
ajiib ḳhāmushī hai ġhul machātī rahtī hai
ye āsmān hī sar par uThātī rahtī hai
kiyā hai ishq to sābit-qadam bhī rahnā siikh
miyāñ ye hijr kī aafat to aatī rahtī hai
ye jo hai aaj ḳharāba kabhī chaman thā kyā
yahāñ to ek magas bhinbhinātī rahtī hai
Daro nahīñ ye koī saañp zer-e-kāh nahīñ
havā hai aur vahī sarsarātī rahtī hai
mire hī vāste manzar zuhūr karte haiñ
mirī hī aañkh yahāñ jagmagātī rahtī hai
havā agarche bahut tez hai magar phir bhī
maiñ ḳhaak huuñ ye mire kaam aatī rahtī hai
ye kaisī chashm-e-taḳhayyul hai ūñghtī bhī nahīñ
ajiib rañg ke manzar banātī rahtī hai
vo ik nigāh bhī neze se kam nahīñ ya.anī
hamāre ḳhūn-e-jigar meñ nahātī rahtī hai
qadam bhī ḳhaak pe karte haiñ kuchh na kuchh tahrīr
havā kī mauj bhī us ko miTātī rahtī hai
ajib KHamushi hai ghul machati rahti hai
ye aasman hi sar par uThati rahti hai
kiya hai ishq to sabit-qadam bhi rahna sikh
miyan ye hijr ki aafat to aati rahti hai
ye jo hai aaj KHaraba kabhi chaman tha kya
yahan to ek magas bhinbhinati rahti hai
Daro nahin ye koi sanp zer-e-kah nahin
hawa hai aur wahi sarsaraati rahti hai
mere hi waste manzar zuhur karte hain
meri hi aankh yahan jagmagati rahti hai
hawa agarche bahut tez hai magar phir bhi
main KHak hun ye mere kaam aati rahti hai
ye kaisi chashm-e-taKHayyul hai unghti bhi nahin
ajib rang ke manzar banati rahti hai
wo ek nigah bhi neze se kam nahin yani
hamare KHun-e-jigar mein nahati rahti hai
qadam bhi KHak pe karte hain kuchh na kuchh tahrir
hawa ki mauj bhi us ko miTati rahti hai
- Book : Nakhl-e-Aab (Pg. 232)
- Author : Rafeeq Raaz
- Publication : Takbeer Publications, Srinagar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.