ajib KHwab tha hum bagh mein khaDe hue the
ajiib ḳhvāb thā ham baaġh meñ khaḌe hue the
hamāre sāmne phūloñ ke sar paḌe hue the
barahna titliyāñ raqsāñ thiiñ uryāñ shāḳhoñ par
zamīñ meñ saare shajar sharm se gaḌe hue the
tamām paat the niile buzurg bargad ke
usī ko Dasne se sāñpoñ ke phan baḌe hue the
za.iif peḌ the būḌhī havā se sharminda
javāñ parinde kisī baat par aḌe hue the
na koī naġhma-e-bulbul na koī naġhma-e-gul
ḳhudā-e-sub.h se sab ḳhush-gulū laḌe hue the
vahīñ pe sāmne 'vāsif' thā ek qabristāñ
jahāñ yahāñ vahāñ sab nāmvar saḌe hue the
phir ek qabr huī shaq to us meñ the do dil
aur un diloñ meñ mohabbat ke nag jaḌe hue the
ajib KHwab tha hum bagh mein khaDe hue the
hamare samne phulon ke sar paDe hue the
barahna titliyan raqsan thin uryan shaKHon par
zamin mein sare shajar sharm se gaDe hue the
tamam pat the nile buzurg bargad ke
usi ko Dasne se sanpon ke phan baDe hue the
zaif peD the buDhi hawa se sharminda
jawan parinde kisi baat par aDe hue the
na koi naghma-e-bulbul na koi naghma-e-gul
KHuda-e-subh se sab KHush-gulu laDe hue the
wahin pe samne 'wasif' tha ek qabristan
jahan yahan wahan sab namwar saDe hue the
phir ek qabr hui shaq to us mein the do dil
aur un dilon mein mohabbat ke nag jaDe hue the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.