ajib lutf mohabbat ki dastan mein hai
ajiib lutf mohabbat kī dāstān meñ hai
vafā kā tazkira duniyā kī har zabān meñ hai
na vo zamīñ pe kahīñ hai na āsmān meñ hai
parinda is liye mahfūz hai uḌaan meñ hai
nashāt-e-sāya ne ma.azūr kar diyā us ko
vo kaise dhuup meñ nikle jo sā.ebān meñ hai
nasīb dekhiye mālik to ho gayā be-ghar
kirāya-dār abhī tak usī makān meñ hai
ḳhulūs-o-mehr-o-vafā kī nahīñ koī qīmat
vo maal biktā nahīñ jo mirī dūkān meñ hai
fulāñ kī baat fulāñ ne sunī fulāñ se kahī
bas itnī baat pe hangāma ḳhāndān meñ hai
'zafar' batā to sahī kyoñ hai itnī be-ḳhabarī
dimāġh kaun se dil kaun se jahān meñ hai
ajib lutf mohabbat ki dastan mein hai
wafa ka tazkira duniya ki har zaban mein hai
na wo zamin pe kahin hai na aasman mein hai
parinda is liye mahfuz hai uDan mein hai
nashat-e-saya ne mazur kar diya us ko
wo kaise dhup mein nikle jo saeban mein hai
nasib dekhiye malik to ho gaya be-ghar
kiraya-dar abhi tak usi makan mein hai
KHulus-o-mehr-o-wafa ki nahin koi qimat
wo mal bikta nahin jo meri dukan mein hai
fulan ki baat fulan ne suni fulan se kahi
bas itni baat pe hangama KHandan mein hai
'zafar' bata to sahi kyon hai itni be-KHabari
dimagh kaun se dil kaun se jahan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.