ajib raat thi wo raat mein nahin aaya
ajiib raat thī vo raat meñ nahīñ aayā
ki mere ḳhvāb-e-tilismāt meñ nahīñ aayā
khule kivāḌ mire ghar ke bain karte rahe
koī bhī haath mire haath meñ nahīñ aayā
vo is liye hī to aayā thā phuul khil jaa.eñ
phir us ke ba.ad vo bāġhāt meñ nahīñ aayā
gunah muaaf maiñ us ko ḳhudā banā baiThā
ḳhudā ḳhayāl mulāqāt meñ nahīñ aayā
maiñ chāhtā thā use chhū ke dekh luuñ lekin
vo āsmān mire haath meñ nahīñ aayā
furāt tū ne bahattar kī tishnagī dekhī
tū phir bhī ḳhema-e-sādāt meñ nahīñ aayā
ajib raat thi wo raat mein nahin aaya
ki mere KHwab-e-tilismat mein nahin aaya
khule kiwaD mere ghar ke bain karte rahe
koi bhi hath mere hath mein nahin aaya
wo is liye hi to aaya tha phul khil jaen
phir us ke baad wo baghat mein nahin aaya
gunah muaf main us ko KHuda bana baiTha
KHuda KHayal mulaqat mein nahin aaya
main chahta tha use chhu ke dekh lun lekin
wo aasman mere hath mein nahin aaya
furaat tu ne bahattar ki tishnagi dekhi
tu phir bhi KHema-e-sadat mein nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.