ajib rang hai logon ki aashnai ka
ajiib rang hai logoñ kī āshnā.ī kā
ki ishq naam huā jism kī rasā.ī kā
tabāh ye bhī hai barbād vo bhī dikhtā hai
hazāroñ ko hai Dasā naag bevafā.ī kā
paTakte phirte haiñ sar ab ko jā-ba-jā apne
sila nahīñ koī miltā hai pārsā.ī kā
unhīñ ke dam pe hai qaa.em hamārī tanhā-ravī
mizāj dekhā hai yāroñ kī rū-numā.ī kā
zamāna vāloñ ne suulī chaḌhā diyā mujh ko
yahī milā hai mujhe uzr pārsā.ī kā
kabhī kisī ke ye chehre pe raqs kartī hai
baḌhā hai kaam siyāsat meñ raushnā.ī kā
usī ko maiñ ne phisalte qarīb se dekhā
nikāl laayā thā jo toḌ moḌ kaa.ī kā
biThā rahe ho kapāsoñ pe Thiik hai lekin
karoge kyā ye batāo diyā-salā.ī kā
ajib rang hai logon ki aashnai ka
ki ishq nam hua jism ki rasai ka
tabah ye bhi hai barbaad wo bhi dikhta hai
hazaron ko hai Dasa nag bewafai ka
paTakte phirte hain sar ab ko ja-ba-ja apne
sila nahin koi milta hai parsai ka
unhin ke dam pe hai qaem hamari tanha-rawi
mizaj dekha hai yaron ki ru-numai ka
zamana walon ne suli chaDha diya mujh ko
yahi mila hai mujhe uzr parsai ka
kabhi kisi ke ye chehre pe raqs karti hai
baDha hai kaam siyasat mein raushnai ka
usi ko main ne phisalte qarib se dekha
nikal laya tha jo toD moD kai ka
biTha rahe ho kapason pe Thik hai lekin
karoge kya ye batao diya-salai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.