ajib rut thi barasti hui ghaTaen thin
'ajīb rut thī barastī huī ghaTā.eñ thiiñ
zamīñ ne pyaas kī oḌhī huī ridā.eñ thiiñ
vo kaisā qāfila guzrā vafā kī rāhoñ se
sitam kī ret pe phailī huī jafā.eñ thiiñ
hisār-e-zāt se niklā to aage sahrā thā
barahna sar the shajar chīḳhtī havā.eñ thiiñ
vo kaun log the jin ko safar nasīb na thā
vagarna shahr meñ kyā kyā kaḌī sazā.eñ thiiñ
maiñ apne aap se bachhḌā to ḳhvāb sūrat thā
mirī talāsh meñ bhaTkī huī sadā.eñ thiiñ
vo ek shaḳhs milā aur bichhaḌ gayā ḳhud hī
usī ke faiz se zinda mirī vafā.eñ thiiñ
koī ḳhayāl thā shāyad bhaTak gayā jo 'aqīl'
mire vujūd meñ shab bhar vahī nidā.eñ thiiñ
'ajib rut thi barasti hui ghaTaen thin
zamin ne pyas ki oDhi hui ridaen thin
wo kaisa qafila guzra wafa ki rahon se
sitam ki ret pe phaili hui jafaen thin
hisar-e-zat se nikla to aage sahra tha
barahna sar the shajar chiKHti hawaen thin
wo kaun log the jin ko safar nasib na tha
wagarna shahr mein kya kya kaDi sazaen thin
main apne aap se bachhDa to KHwab surat tha
meri talash mein bhaTki hui sadaen thin
wo ek shaKHs mila aur bichhaD gaya KHud hi
usi ke faiz se zinda meri wafaen thin
koi KHayal tha shayad bhaTak gaya jo 'aqil'
mere wujud mein shab bhar wahi nidaen thin
- Book : Pakistani Adab (Pg. 557)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.