ajib sadi thi ki zer-o-zabar jahan hua
ajiib sadī thī ki zer-o-zabar jahān huā
nazar ke sāmne manzar lahūluhān huā
bahut thiiñ jis kī musāfir-navāziyāñ mash.hūr
vo merā shahr mire haq meñ be-amān huā
har auj dekhte hī dekhte huī pastī
har ek zarra-e-nāchīz āsmān huā
jo chalte vaqt thā pairoñ ke vāste chaTTān
palaTte vaqt vahī rāsta Dhalān huā
tamām umr luTāyā ḳhulūs-e-dil jis par
nasīb hai ki vahī shaḳhs bad-gumān huā
ajiib ahd meñ paa.ī thī zindagī maiñ ne
har ek zulm mire sāmne javān huā
kiyā gayā mujhe 'darvesh' is tarah taqsīm
na ek jism huā phir na ek jaan huā
ajib sadi thi ki zer-o-zabar jahan hua
nazar ke samne manzar lahuluhan hua
bahut thin jis ki musafir-nawaziyan mashhur
wo mera shahr mere haq mein be-aman hua
har auj dekhte hi dekhte hui pasti
har ek zarra-e-nachiz aasman hua
jo chalte waqt tha pairon ke waste chaTTan
palaTte waqt wahi rasta Dhalan hua
tamam umr luTaya KHulus-e-dil jis par
nasib hai ki wahi shaKHs bad-guman hua
ajib ahd mein pai thi zindagi main ne
har ek zulm mere samne jawan hua
kiya gaya mujhe 'darwesh' is tarah taqsim
na ek jism hua phir na ek jaan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.