ajib sham ka manzar dikhai deta hai
ajiib shaam kā manzar dikhā.ī detā hai
jab āftāb zamīñ par dikhā.ī detā hai
mujhe to nīl-gagan ke virāT āñgan meñ
hasīn chāñd pe ik ghar dikhā.ī detā hai
falak kā bojh muqaddar meñ jis ke likkhā ho
use to chāñd bhī patthar dikhā.ī detā hai
jinheñ bachānā thā amn-o-amāñ kā shīsh-mahal
unhīñ ke hāthoñ meñ patthar dikhā.ī detā hai
jise talāsh kiyā aap ne zamāne meñ
mujhe vo ḳhud hī ke andar dikhā.ī detā hai
ajib sham ka manzar dikhai deta hai
jab aaftab zamin par dikhai deta hai
mujhe to nil-gagan ke wiraT aangan mein
hasin chand pe ek ghar dikhai deta hai
falak ka bojh muqaddar mein jis ke likkha ho
use to chand bhi patthar dikhai deta hai
jinhen bachana tha amn-o-aman ka shish-mahal
unhin ke hathon mein patthar dikhai deta hai
jise talash kiya aap ne zamane mein
mujhe wo KHud hi ke andar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.