ajib shahr ka manzar hai kya kiya jae
ajiib shahr kā manzar hai kyā kiyā jaa.e
har ek haath meñ ḳhanjar hai kyā kiyā jaa.e
fazā chaman kī mo.attar hai kyā kiyā jaa.e
baḌā hasīn ye manzar hai kyā kiyā jaa.e
jo raah par thā vahī ban gayā hai ab rahzan
yahī to vaqt kā ham-sar hai kyā kiyā jaa.e
kisī ko aish-o-tarab aur kisī ko dar kī bhiik
ye apnā apnā muqaddar hai kyā kiyā jaa.e
sanam-kade kā musavvir bhī aaj hairāñ hai
yahāñ har aadmī aazar hai kyā kiyā jaa.e
ab apne shahr meñ jiinā bhī ho gayā mushkil
yahāñ har ek fusūñ-gar hai kyā kiyā jaa.e
tamām umr kaTī jis kī rahzanī meñ 'shād'
vahī to aaj kā rahbar hai kyā kiyā jaa.e
ajib shahr ka manzar hai kya kiya jae
har ek hath mein KHanjar hai kya kiya jae
faza chaman ki moattar hai kya kiya jae
baDa hasin ye manzar hai kya kiya jae
jo rah par tha wahi ban gaya hai ab rahzan
yahi to waqt ka ham-sar hai kya kiya jae
kisi ko aish-o-tarab aur kisi ko dar ki bhik
ye apna apna muqaddar hai kya kiya jae
sanam-kade ka musawwir bhi aaj hairan hai
yahan har aadmi aazar hai kya kiya jae
ab apne shahr mein jina bhi ho gaya mushkil
yahan har ek fusun-gar hai kya kiya jae
tamam umr kaTi jis ki rahzani mein 'shad'
wahi to aaj ka rahbar hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.