ajib shaKHs hai dharti pe aasman sa hai
Interesting Fact
1972
ajiib shaḳhs hai dhartī pe āsmān sā hai
ḳhudā maqām nahīñ phir bhī lā-makān sā hai
uge jo sub.h kā sūraj to ik machine hai vo
Dhale jo shaam to phir jism kī takān sā hai
sukūt-e-dasht-e-tamannā hai us ko jā-e-panāh
navāh-e-āriz-o-gesū meñ be-nishān sā hai
barahna rahtā hai shamshīr-e-be-amāñ kī tarah
har ek shaḳhs yahāñ us se bad-gumān sā hai
uThā na pā.egā yak lamha-e-nashāt vajūd
vo apnī teġh-e-nafas se lahūluhān sā hai
nigāh-dār-e-falak tā-falak rahā vo 'kamāl'
aur ab zamīn pe TuuTī huī kamān sā hai
ajib shaKHs hai dharti pe aasman sa hai
KHuda maqam nahin phir bhi la-makan sa hai
uge jo subh ka suraj to ek machine hai wo
Dhale jo sham to phir jism ki takan sa hai
sukut-e-dasht-e-tamanna hai us ko ja-e-panah
nawah-e-ariz-o-gesu mein be-nishan sa hai
barahna rahta hai shamshir-e-be-aman ki tarah
har ek shaKHs yahan us se bad-guman sa hai
uTha na paega yak lamha-e-nashat wajud
wo apni tegh-e-nafas se lahuluhan sa hai
nigah-dar-e-falak ta-falak raha wo 'kamal'
aur ab zamin pe TuTi hui kaman sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.