ajib shaKHs hai mujhko to wo diwana lage
ajiib shaḳhs hai mujh ko to vo divāna lage
pukārtā huuñ to us ko mirī sadā na lage
guzar rahā hai mire sar se jo havā kī tarah
kabhī kabhī to vahī lamha ik zamāna lage
galī meñ jis pe har ik samt se chale patthar
mujhe vo shaḳhs kisī tarah bhī burā na lage
mizāj us ne bhī kaisā ajiib paayā hai
hazār chheḌ karūñ par use burā na lage
hamāre pīchhe vo chup-chāp baiThā rahtā hai
maiñ sochtā huuñ magar kuchh mujhe patā na lage
isī ḳhayāl se shāyad hai band vo khiḌkī
ThaThurtī shaam kī us ko kahīñ havā na lage
sunā.eñ kis ko yahāñ āp-bītī ai 'aslam'
hameñ to apnī hī har baat ḳhud fasāna lage
ajib shaKHs hai mujh ko to wo diwana lage
pukarta hun to us ko meri sada na lage
guzar raha hai mere sar se jo hawa ki tarah
kabhi kabhi to wahi lamha ek zamana lage
gali mein jis pe har ek samt se chale patthar
mujhe wo shaKHs kisi tarah bhi bura na lage
mizaj us ne bhi kaisa ajib paya hai
hazar chheD karun par use bura na lage
hamare pichhe wo chup-chap baiTha rahta hai
main sochta hun magar kuchh mujhe pata na lage
isi KHayal se shayad hai band wo khiDki
ThaThurti sham ki us ko kahin hawa na lage
sunaen kis ko yahan aap-biti ai 'aslam'
hamein to apni hi har baat KHud fasana lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.