ajib shoKHi-e-duniya mein ji raha hun main
ajib shoKHi-e-duniya mein ji raha hun main
Syed Tamjeed Haider Tamjeed
MORE BYSyed Tamjeed Haider Tamjeed
ajiib shoḳhī-e-duniyā meñ jī rahā huuñ maiñ
isī kā jām-e-ġharībāna pī rahā huuñ maiñ
thā jā vo baañT diyā apnoñ aur ġhairoñ meñ
ab apnī jeb ke sūrāḳh sī rahā huuñ maiñ
jahāñ tasavvur-e-insān thak ke hārtā hai
isī mahāz-e-abas meñ kabhī rahā huuñ maiñ
kisī ne pūchhā kisī ke kisī ḳhayāl meñ the
kahā javāb meñ maiñ ne ki jī rahā huuñ maiñ
kisī bhī rishte kī kuchh ibtidā.ī muddat tak
bataur-e-āla-e-ārā.ishī rahā huuñ maiñ
ba-qaul rāvī-e-kāshāna-hā-e-jānāñ ke
kisī kī ārzū-e-āḳhirī rahā huuñ maiñ
ab us kī tund-mizājī ne ye dharā ilzām
ki us kā pairahan-e-ātishī rahā huuñ maiñ
ye ittisāf ye nisbat bajā hai ik had tak
sarāpā paikar-e-āzurdagī rahā huuñ maiñ
kahīñ kahīñ merī aahoñ meñ ajnabiyyat thī
so dūsroñ ke liye ajnabī rahā huuñ maiñ
ḳhabar maiñ letā huuñ 'tamjīd' apne aap kī jo
ḳhud apne aap kā aḳhbārchī rahā huuñ maiñ
ajib shoKHi-e-duniya mein ji raha hun main
isi ka jam-e-gharibana pi raha hun main
tha ja wo banT diya apnon aur ghairon mein
ab apni jeb ke suraKH si raha hun main
jahan tasawwur-e-insan thak ke haarta hai
isi mahaz-e-abas mein kabhi raha hun main
kisi ne puchha kisi ke kisi KHayal mein the
kaha jawab mein main ne ki ji raha hun main
kisi bhi rishte ki kuchh ibtidai muddat tak
bataur-e-ala-e-araishi raha hun main
ba-qaul rawi-e-kashana-ha-e-jaanan ke
kisi ki aarzu-e-aKHiri raha hun main
ab us ki tund-mizaji ne ye dhara ilzam
ki us ka pairahan-e-atishi raha hun main
ye ittisaf ye nisbat baja hai ek had tak
sarapa paikar-e-azurdagi raha hun main
kahin kahin meri aahon mein ajnabiyyat thi
so dusron ke liye ajnabi raha hun main
KHabar main leta hun 'tamjid' apne aap ki jo
KHud apne aap ka aKHbarchi raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.