ajib tarah ka ek gham hai jaan se lipTa hua
ajiib tarah kā ik ġham hai jaañ se lipTā huā
bagūlā jaise koī bādbāñ se lipTā huā
maiñ likhne baiThūñ to kāġhaz hī bhiig jaatā hai
vo shaḳhs yuuñ hai mirī dāstāñ se lipTā huā
talab sukūn meñ kartā huuñ be-sukūnī se
ki merā suud hai mere ziyāñ se lipTā huā
maiñ niiñd meñ huuñ magar ḳhvāb kis tarah dekhūñ
mirā shu.ūr hai mere gumāñ se lipTā huā
agarche niiñd mujhe ab bhī aa hī jaatī hai
magar vo niiñd ki sotā thā maañ se lipTā huā
baġhair pūchhe mujhe rāsta batātā hai
koī to hai ki mire kārvāñ se lipTā huā
ajib tarah ka ek gham hai jaan se lipTa hua
bagula jaise koi baadban se lipTa hua
main likhne baiThun to kaghaz hi bhig jata hai
wo shaKHs yun hai meri dastan se lipTa hua
talab sukun mein karta hun be-sukuni se
ki mera sud hai mere ziyan se lipTa hua
main nind mein hun magar KHwab kis tarah dekhun
mera shuur hai mere guman se lipTa hua
agarche nind mujhe ab bhi aa hi jati hai
magar wo nind ki sota tha man se lipTa hua
baghair puchhe mujhe rasta batata hai
koi to hai ki mere karwan se lipTa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.