ajib tarh ka mausam raha hai aankhon mein
'ajīb tarh kā mausam rahā hai āñkhoñ meñ
badan kā saarā lahū jam rahā hai āñkhoñ meñ
koī bhī zaḳhm ho rone se halkā hotā hai
har ek zaḳhm kā marham rahā hai āñkhoñ meñ
ye panchhī apnā nasheman badaltā rahtā hai
kabhī to dil meñ kabhī ġham rahā hai āñkhoñ meñ
maiñ āñsuoñ ko tabarruk samajh ke piitā huuñ
chhupā huā kahīñ zamzam rahā hai āñkhoñ meñ
'ajab nahīñ hai ki kal bāñdh TuuT hī jaa.e
abhī to sail-e-balā tham rahā hai āñkhoñ meñ
kisī kī diid kā lamha guzar chukā kab kā
abhī bhī jashn kā 'ālam rahā hai āñkhoñ meñ
jo dil meñ ho vo hamesha dikhā.ī detā hai
vo duur rah ke bhī paiham rahā hai āñkhoñ meñ
dikhā.ī detī hai har shai mujhe hasīn 'kamāl'
kisī ke husn kā album rahā hai āñkhoñ meñ
'ajib tarh ka mausam raha hai aankhon mein
badan ka sara lahu jam raha hai aankhon mein
koi bhi zaKHm ho rone se halka hota hai
har ek zaKHm ka marham raha hai aankhon mein
ye panchhi apna nasheman badalta rahta hai
kabhi to dil mein kabhi gham raha hai aankhon mein
main aansuon ko tabarruk samajh ke pita hun
chhupa hua kahin zamzam raha hai aankhon mein
'ajab nahin hai ki kal bandh TuT hi jae
abhi to sail-e-bala tham raha hai aankhon mein
kisi ki did ka lamha guzar chuka kab ka
abhi bhi jashn ka 'alam raha hai aankhon mein
jo dil mein ho wo hamesha dikhai deta hai
wo dur rah ke bhi paiham raha hai aankhon mein
dikhai deti hai har shai mujhe hasin 'kamal'
kisi ke husn ka album raha hai aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.