ajib us se bhi rishta hai kya kiya jae
ajiib us se bhī rishta hai kyā kiyā jaa.e
vo sirf ḳhvāboñ meñ miltā hai kyā kiyā jaa.e
jahāñ jahāñ tere milne kā hai gumān vahāñ
na zindagī hai na rāsta hai kyā kiyā jaa.e
ġhalat nahīñ mujhe marne kā mashvara us kā
vo merā dard samajhtā hai kyā kiyā jaa.e
kisī pe ab kisī ġham kā asar nahīñ hotā
magar ye dil hai ki dukhtā hai kyā kiyā jaa.e
kamī na kī thī tavajjoh meñ aap ne lekin
hamārā zaḳhm hī gahrā hai kyā kiyā jaa.e
vo merī jaan kā dushman sahī magar yaaro
mire liye vahī achchhā hai kyā kiyā jaa.e
ajib us se bhi rishta hai kya kiya jae
wo sirf KHwabon mein milta hai kya kiya jae
jahan jahan tere milne ka hai guman wahan
na zindagi hai na rasta hai kya kiya jae
ghalat nahin mujhe marne ka mashwara us ka
wo mera dard samajhta hai kya kiya jae
kisi pe ab kisi gham ka asar nahin hota
magar ye dil hai ki dukhta hai kya kiya jae
kami na ki thi tawajjoh mein aap ne lekin
hamara zaKHm hi gahra hai kya kiya jae
wo meri jaan ka dushman sahi magar yaro
mere liye wahi achchha hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.