ajib us se talluq janab mera tha
ajiib us se ta'alluq janāb merā thā
kisī ke haq meñ thī ta.abīr ḳhvāb merā thā
udaas bhī na rahūñ maiñ ye kaise mumkin hai
vahī to shahr meñ ik intiḳhāb merā thā
na thī umiid koī phir bhī justujū meñ tirī
na jaane kyoñ dil-e-ḳhāna-ḳharāb merā thā
kahīñ mileñge añdhere to yaad aa.egā
kisī safar meñ koī āftāb merā thā
vo saarī raat rahā karvaToñ ke aalam meñ
uThā to jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb merā thā
ajib us se ta'alluq janab mera tha
kisi ke haq mein thi tabir KHwab mera tha
udas bhi na rahun main ye kaise mumkin hai
wahi to shahr mein ek intiKHab mera tha
na thi umid koi phir bhi justuju mein teri
na jaane kyon dil-e-KHana-KHarab mera tha
kahin milenge andhere to yaad aaega
kisi safar mein koi aaftab mera tha
wo sari raat raha karwaTon ke aalam mein
uTha to jagti aankhon mein KHwab mera tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.