ajnabi se chehron par aashna si aankhen hain
ajnabī se chehroñ par āshnā sī āñkheñ haiñ
āshnā se chehroñ par kuchh ḳhafā sī āñkheñ haiñ
zard zard mausam se tishnagī jhalaktī hai
phuul haiñ ḳhizāoñ ke aur pyāsī āñkheñ haiñ
pālkī bahāroñ kī aane vaalī hai shāyad
nīm-vā darīchoñ meñ aa.ina sī āñkheñ haiñ
phir chalā hai dil le kar ḳhvāb-nāk rāhoñ par
mere chār-sū ab vo rahnumā sī āñkheñ haiñ
yaad kī hasīñ kirneñ jagmagā.īñ āñgan meñ
dil kā isti.āra to vo duā sī āñkheñ haiñ
hoñT ḳhushk haiñ mere aur qadam 'sadaf' zaḳhmī
raat kā safar hai aur be-ziyā sī āñkheñ haiñ
ajnabi se chehron par aashna si aankhen hain
aashna se chehron par kuchh KHafa si aankhen hain
zard zard mausam se tishnagi jhalakti hai
phul hain KHizaon ke aur pyasi aankhen hain
palki bahaaron ki aane wali hai shayad
nim-wa darichon mein aaina si aankhen hain
phir chala hai dil le kar KHwab-nak rahon par
mere chaar-su ab wo rahnuma si aankhen hain
yaad ki hasin kirnen jagmagain aangan mein
dil ka istiara to wo dua si aankhen hain
honT KHushk hain mere aur qadam 'sadaf' zaKHmi
raat ka safar hai aur be-ziya si aankhen hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.